Monday, 28 August 2017
deed muhabbat toor muhabbat
deed muhabbat, toor muhabbat
husn, tajjali, noor muhabbat
haar yehi singhaar yehi hai
maang ka hai sindoor muhabbat
hum ne to har soo dekhi hai
paas muhabbat, door muhabbat
naaz usay har aik ada per
kitni hai maghroor muhabbat
kis ne rakha paas wafa ka
sirf hui mash'hoor muhabbat
beet chali hain kitni sadiyan
ab tak hai mehjoor muhabbat
vird, wazeefa, shaam savere
dafa muhabbbat, door muhabbat
zain bicharna kab mumkin tha
aan hui majboor muhabbat
0 comments:
Post a Comment