Tuesday, 29 August 2017
Ek ajnabi hasina se yun mulakat ho gayi
Ek ajnabi hasina se yun mulakat ho gayi
Phir kya huwa yeh naa puchho, kuch aisi baat ho gayi
Ek ajnabi hasina se yun mulakat ho gayi
Woh achanak aa gayi,
Yun nazar ke samane
Jaise nikal aya ghata se chand
Chehare pe zulfen,
Bikhari huyi thi, din mein raat ho gayi
Ek ajnabi hasina se yun mulakat ho gayi
Janeman janejigar hota main shayar agar,
Kehta gajhal teri adao par
Maine yeh kaha toh mujhse
Kafa woh jane hayat ho gayi
Ek ajnabi hasina se yun mulakat ho gayi
Khubsurat baat yeh char pal ka sath yeh,
Sari umar mujhko rahega yaad
Main akela tha magar, ban gayi woh hamsafar,
Woh mere sath ho gayi
Ek ajnabi hasina se yun mulakat ho gayi.
0 comments:
Post a Comment